Monday 25 March 2019

Hamara Indian Filmon ka "Marhoom" shoq ... In Roman Hindi / Urdu


Article # 5 ... Roman Urdu

Hamara indian filmon ka" marhoom" shoq
A nostalgia



Written by : Azhar Azmi
( Aik ishtihari ki baatein )

Yeh 80 ki dehai ke ibtidai saal they. VCR kisnemat ka naam hai. sirf suna tha. kabhi ziyarat ka sharf haasil nahi hoa tha. yeh woh zamana tha ke agar muhallay ya college mein aap indian filmon se nawaqif hain. aap ney agar koyi indian film nahi dekhi hai to aap se bara ujad, ganwaar, jaahil aur out dated
koyi bhi nahi. film dekhna is zamana mein zindah o Javed honay ki alalamat thi. aap ki shakhsiyat mein romance ki chaashni is waqt mehsoos hoti jab aap kisi larki ko dekh kar koyy naya navaila indian gana gatay. aawaz achi ho to sonay par suhaga (waisay kuch bay suray magar mohabbat bhara dil rakhnay walay jab apni bhondi aur tapar daar aawaz ka zeher gholte to nah sirf larki muskarati hoyi chali jati balkay kaafi der taq doston mein chhe chhe hoti rehti ) is zamane mein bohat se ishhq is liye parwan charrhey ke larke ki aawaz achhi hai. achay ganay walay larke muhallay aur khandano ki shadion mein aksar bulaye jatay .

Dekhye! indian filmon par anay se pehlay gano ney mujhe ghair liya aur baat kahan ki kahan nikal gae. 1977 ki Bhuto mukhalif tehreek mein jab poooray malik mein pahiyah jaam hota. Curfew lagta to un tamam namsaaid halaat ke bawajood raat mein rozana Ranchore line mein indian filme chala karten aur un filmon ke aashiq sar par kafan to nahi lekin faujion se bachte bachatey chappal hathon mein le kar film dekhnay jatay .

Hamaray sab se chhootey chacha marhoom Dilip Kumar., Mohammad Rafi aur Lata mangeshkar ka Encyclopedia they. Mohammad Rafi se un ki mohabbat ka yeh aalam tha ke un ke yum wafaat par zarde par Fatiha dilatey. jis zamane mein tape record hi sab kuch tha. aik martaba aik faqeer Mohammad Rafi ka koyi religiuos kalaam parhta hoa un ki gali mein agaya. aap ney usay ghar bulaya. Tape record khoola aur jo kuch Rafi ka gaaya hoa yaad tha, record kar liya. baad mein chaltay waqt paisay diye .

hamaray chacha apne doston ke sath un curfew ke dinon mein raat ko indian film dekhnay Ranchore line jatay aur phir subah paidal ghar atay. yeh allag baat phir aik film hamaray waalid sahib chalatay jis ko dekhnay aur sun-nay walay akailey hamaray chacha hotay magar wohi baat hai ke shoq ka koyi mol nahi. chacha se is zamane mein hum ney film Kati Patang ki tareef suni jis ke hero Rajesh khanna they jo is zamane ke super star hoa karte they. chacha ke paas un tamam indian risalon ka record mojood tha jis mein Dilip kumar ka zikar hota .

Iss se hamein yeh faida hoa ke hum no umari mein is zamane ki indian filmi nagri se waaqif hogaye. Shama risala Dehli se print hota. hamari shama se alik sleek chacha ke zariye hoyy. chacha ka khayaal tha ke shama risala Dilip Kumar ke mukhalif camp ka hai .

shama ke phir hum rasiya ho gaye. College aur is ke baad ke dinon mein raddi paper walon aur purani kitabon ke thailon par Shama par nazar rakhtay ke yeh din mein kahan jal raha hai. shama mein musafir ki diary aaya karti jo is ke malik Idrees Dehlvi likhte jis mein set par mojood filmon ka haal ahwaal aur filmi sitaron se guftagu hoti. Iis ke ilawa bhi sitaron ke interviews hotay. anay wali filmon ke ishtihar hotay. jo baat hamaray liye izafi tor par faida mand rahi woh yeh ke is mein mashhoor adeebon ke afsaanay aur kahaniyan bhi hoten. chacha ke baqol shama Dilip Kumar mukhalif tha lekin aik mukammal risala tha. Indian film industry se waqfiyat ke liye shama ka kirdaar hamaray liye rahnma ka darja rakhta hai. aaj jo hum maazi ke filmi sitaron ki pol patti kholtey hain to yaqeen jaanen yeh sab shama ki kiranen hain jin se hum aisi tamam mehafilon mein aaj bhi jagmaga rahay hotay hain. Bas aik masla yeh aata hai ke log hamein 1945 ke aas paas ki paidaiesh samajte hain .

Baatein itni kar len magar yaqeen jaanen pehli indian film / filme is waqt dekhen jab hum inter ka tution parhnay bock 17 Federal b Area jaya karte they. bas hamari kuch naikian hamaray kaam agaien jo yeh sawab semathnay ki Saadat naseeb hoyy. Allah ka karna aisa hoa ke hum jahan inter mein tution parhnay jatay they.Iis gali ka aik larka Khurram bhi sath tuition parhta tha. phir yeh ke jin se tution parhte they un ka cosuin bhi sath hota tha. aik din unhon ney bataya ke hum do indian filme chala rahay hain. larkoon ka intizam karo. fi film ( agar sahih yaad hai ) 5 Rupees ka rate muqarrar hoa yani aik larka 10 rupees. Hum ney bhi larkoon ka intizam kya aur un ko 2 rupay –apne 12 rupay rakhkar betaye. Khurram se saaf saaf keh diya ke mein filme free mein daikhon ga. pehlay to woh maana nahi. mein ney kaha phir mere bande bhi nahi ayen ge. bil-aakhir woh raazi ho hi gaya. ab sahib jab 120 gaz ke makaan ke kamray mein dopehar ko mein larke le lay kar phuncha to room khacha khach bhara hoa tha. Bethna kia saans lainay ore ki baat saans laina mushkil tha. jin larkoon ko mein le gaya tha aur kaha tha ke baray aaraam se tangein phela kar film dekhen ge, un mein se aik larka hathe se akhar gaya.Raqam pehlay li jachki thi.Iis ney paison ki wapsi ka taqaza kardiya. mein khud heran tha ke bathain ge kahan? lekin phir wohi baat ke dil mein jagah honi chahiye. ghis ghisa kar peeth gay magar 6 ghantay baad jis jagah jaisay peethe they waisay hi utthay .

jitna hum filme dekh kar nahi akray they is se kahin ziyada tangen akarr chuki theen. Pehli film jo dekhi woh do aur do paanch thi. Amitabh bachchan. shIshi Kapoor . Hema Malini. Parveen babi is ke setaaray they. doosri film Rashi Kapoor aur Hiritik roshan ke father rakesh ki thi. dono film ke hero they. yeh film dekh kar jab bahar niklay to raat ho chuki thi magar hamari zindagi mein indian filmon ka ujala phail chuka tha aur khud ko society ka ba izzat fard samajh chuke they. Amitabh ki sehar angaiz shakhsiyat ney poori aur buri terha jakar liya tha. ab apni filmon se" imaan" poori terhan uth chuka tha. Amitabh ke agay peechay kuch dekhai nah deta tha. hamari chacha se khoob hi guftagu hoti. chacha dilip ke aur hum Amitabh ke deewany they. chacha kehte Amitabh dilip ke agay kuch bhi nahi aur waqai jab kuch barhay hue aur dilip kumar ki adakari dekhi to andaza hoa ke dilip kumar dilip kumar hai. chacha bhi Amitabh ko adakar mantay they magar dilip kumar ke baad. jab film shakti mein dilip kumar aur Amitabh ko aamnay samnay dekha to haqeeqat aur bhy ayaan ho gae .

baad mein kaafi films dekhen magar ab arsa hoa ke yeh sab khatam ho chuka hai. aakhri film jo poori dil, dimagh aur chasham jamee se dekhi woh Lagaan thi. yun samajh len ke hum ney indian filmein dekhnay ka yeh aakhri lagaan ada kya tha. baad mein ikka daka filme dekhen. achi bhi lagein magar dekhnay mein inhimak baraye naam hi tha. bas yeh tha ke jaldi khatam hon. yeh bhi aik haqeeqat hai ke Dilip Kumar aur Amitabh ke baad ya to koi dil ko jacha nahi ya phir hamara shoq hi marhoom ho gaya .


No comments:

Post a Comment

عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں . Article 91

Article # 91 رنج و مزاح  عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں  تحریر : اظہر عزمی ہمارے ایک دوست بہت دلچسپ ہیں ۔ گفتگو میں آخر تک تجسس و ...