Wednesday 27 March 2019

Baap ghar mein darakht ... in Roman urdu


Article # 6 ... Roman Urdu

Un ke saaye mein bikhat hotay hain

Baap ghar mein darakht hotay hain




Written by : Azhar Azmi 

(Aik ishtihari ki batain )




1988 mein aik choti si advertising agency mein pehli mulazmat mili woh bhi Defence Punjab Colony mein. Salary lagi 1000 rupay.Waalid sahib ney do pants aik sath silva den.Walida ka shuru din se yeh farmaan raha ke tum kapron ki izzat karo ge to kapray tumhari izzat karen ge.Takeed ki wajah yeh thi ke hum ney jab bhi kapray utaarey, ultay hi utaarey jinhein walida seedha kartin .


Kher wapas chaltay hain apni jaye mulazmat par.Kahan hum lower middle class aur kahan Defence area ka hazaar gaz ka bangla.Jo shakhs zindagi mein kabhi adhay ghantay se ziyada AC mein nah betha ho,Woh 8 ghantay aik hi kursi par betha rahay to sochen is ke jism ka kon sa hissa dard zada nah hoga.Lagta tha thand hadion mein baithi nahi balkay late gyy hai .

Kaam vam hamein kya aata tha. trainee ( usay aap rail wali train ka dabba samajh len jisay engine ghsitta hai ) copywriter lagey they.Bas aik martaba tjs ( Tanveer jamsheed. Drees designer) ki meeting mein ginti poori karne ke liye betha diye gaye.Puri meeting mein sehmay sehmay rahay.Kuch samajh mein hi nahi araha tha .


Sab kuch theek chal raha tha.Hum khush they.Muhallay mein hamari mulazmat ki baat phail chuki thi.Dost yaar apne liye aur muhallay ki aurtain apne bachon ke liye modelling ki darkhwast kar chuki theen ke aik bhayanak khawab ki terhah aik hafta baad hamein 250 rupay day kar ba yak junbish qalam farigh kardiya gaya aur" ilzaam" yeh lagaya gaya ke yeh kaam aap ke bas ka nahi.Hamari to duniya andher ho gi.Kher aik darwaaza band ho to kayi aur Dur khultay hain. hum ney apni Creative Director Miss Yasmeen se barkhwastgi ki wajah punchi to bolein ke MD ka dimagh kharab hogaya hai.Tumhen aeye abhi aik hafta hi hoa hai.Kaam anay ya nah anay ka kya sawal? barri dabangg khatoon theen.Nah janey ab kahan hain lekin mere liye woh farishta theen.Kehnay lagen ghabranay ki koyI zaroorat nahi tum Nadeem Farooq Paracha ( mashhoor likhari ) se kal ja kar mil lau. woh is waqt korngi road اگفا laboratory ke peechay waqay aik agency mein Creartive department mein they. Mein aglay roz wahan pouncha to bolay yahan to koyI jagah khaali nahi. tum aisa karo mere waalid Farooq paracha se mil lau.Un ke paas vacancy hai. Farooq Paracha sahib is waqt Laal kothi par waqay aik agency mein they.Mein wahan pouncha.Allah ney un ke dil mein reham dala aur mulazmat mil gayi .


Farooq Paracha sahib pakkay PPPite aur bohat dilchasp, saada tabiyat aur khush guftaar they.Aik zamane mein un ka Bhutto sahib ke haan aana jana tha. Farooq Paracha sahib Urdu Daily Jang mein siyasi article likha karte they jo adarti safha mein shaya hota tha.Hum un ke under mein they.Jab kabhi inhen mazmoon likhna hota to lunch par hamein le kar baith jatay woh boltay aur hum likhte jatay aur do aik roz mein woh article jung mein choup jata.Aik din article lkhwa rahay they.Ekhtataam baqi tha.Nah janey dil mein kya aaya bolay baqi tum likh do. hum ney baqi shayad aik paragraph hi hoga,likh diya aur kuch roz baad woh article hamaray paragraph ke sath shaya ho gaya hum hairan ke yeh kya ho gaya? ( mein taa zindagi Farooq paracha sahib ka mamnon rahon ga ke unhon ney meri likhnay ki salahiyat aur siyasi soojh boojh ko" Taar " liya tha. )



Ab hamara hosla barh gaya.Do aik mah baad hamari is agency se faraghat hogi aur hum poanch gaye Nadeem Farooq paracha ke paas.Is agency mein kaam ziyada nah tha.Din bhar Nadeem aur mein idhar idhar ki hanktay rehtay.Agency mein jitne bhy newspaper atay chaat laita. Samjhain yahan aakar lotry khil gae thi .



Zehan mein aik baat to baith chuki thi ke ab hamein khud likhna hai. is zamane mein ( 1988 ) Campuchia ka masla bara zoroan par tha. hum ney lafzon ki poori kaari giri karte hue aik article" aakhir Campuchia ka masla kab hal hoga ?" likh dala aur himmat kar ke Jang akhbar ke daftar poanch gaye. koyi jaan pehchan nahi.Gate par hi chokidaar ney rok liya. kya kaam hai. kis se milna hai? ab koyI jan-nay wala ho to bitayen.Bas yahi kaha bhai aik mazmoon likha hai chhapwane ke liye dainay aaya hon.Go ke samnay mazmoon daalnay ka box rakha tha lekin chokidaar ney wahan taq nah janey diya.Mere haath se liya aur khud hi box mein daal diya. hum chalay aeye. socha raddi ki tokri mein hi jaye ga.Hamein kon jaanta hai.Jang mein mazmoon chhapna koyi khail nahin hai woh bhi hum jaisay naye likhnay walay ka.Article day aeye aur kisi ko bataya bhi nahi .




Do chaar din baad mein subah office janey ke liye kapron par istri kar raha tha.Waalid sahib akhbar parh rahay they. aik dam kamray se un ki aawaz aae." Azmi idhar ao." mein ney kaha" abbu istri kar raha hon" bolay' istri chhorro pehlay yahan ao". Mein kamray mein gaya to waalid sahib ke chehray par khusi ke tasrat they.jang akhbar ka adarti safha mujhe detay hue bolay" dekho tumhara mazmoon Jang ke adarti safha par aaya hai. Mein ney dekha to waqai Raees Amrohvi ke qatay ki neechay aur Javed Jabbar ke column ke sath Campuchia wala article mere naam Azhar Hussain Azmi ke sath shaya hochuka tha. mein to kher khush tha hi lekin mere waalid sahib ki khusi deedni thi. kehnay lagey" tumhen andaza hai ke jung mein mazmoon ka woh bhi adarti safhay par shaya hona kitni barri baat hai" .




Mujhe article shaya ki be intahaa khusi thi magar is se ziyada khusi is baat ki thi ke aaj mere waalid sahib meri wajah se bohat khush they. shayad inhen apne kisi khawab ki tabeer milnay ke assaar nazar aeye they. Yahan mein aik baat batata chaloon ke mere waalid sahib khandan ke pehlay shayar they. takhallus Kausar Sultan Puri tha. baad az rozgaar aap ka ziyada tar waqt kutub beeni mein guzarta yahi wajah hai ke mein ney Matric taq atay atay bohat kuch parh liya tha .




Article kya chhapa. Waalid sahib ney apne tamam ahbaab ko bta diya. khandan ke log jo mujhe nakara samajte un ke liye bais e fakhr ho gaya kyunkay mein pehla fard tha jo ab Jang mein chapnay laga tha. 80 ke ashray ke log jantay hain ke is zamane mein Jang mein mazmoon ke ajany se woh izzat o shohrat millti thi jo shayad aaj TV channels par anay se bhi nahin milti.Baat ho rahi thi waalid sahib ki. .. . aaj bhi sochta hon ke yeh walidain bhi kitney ajeeb hotay hain inhen aulaad ke pesey se koyI gharz nahi hoti.Bas yeh to apne liye apni aulaad se honay walay fakhr ke lamhay talaash karte hain. khaas tor par is waqt jab un ki kamar Khamida ho jaye aur aap un ka sir fakhr se buland kar dein .




Mein baad mein siyasat aur deegar mozuaat par mukhtalif akhbarat mein musalsal articles likhta raha aur waalid sahib sab ko batatay rahay. Un ka koyi dost milta to usay mere har article ka pata hota aur mein sir jhukae articles par un ke tabsaray santa rehta. Meri khusi article mein nahi thi meri asal khusi yeh thi ke mein apne waalid ke khowaboon ko tabeer day raha tha. Salary meri dodhai hazaar hogi magar waalid sahib ko lakhoon ki khusi mil rahi thi shayad woh khusi jinhein noton mein gina bhi nah ja sakta ho .




Meri bas aik guzarish hai ke waalid ko zindagi mein kam ahem nah jaanen. Woh zindagi bhar aap ke liye ATM card bana rehta hai. aap is ke liye inbisaat o fakhr ka ATM card ban jayen. Buzurgi aur ehtram ke naam par is se daur nah bhagain. is ke paas bathain, is ki tanhai daur karen. Is ney aap ko ungli pakar kar chalna sikhaya. kya aap is ke paas baith bhi nahi satke. jawan hotay bachon ke waalid is baat ko ziyada behtar samajh aur mehsoos kar satke hain. Baap martay nahi hain kisi nah kisi andaaz mein aap ya aap ki aulaad mein zindah rehtay hain. Kabhi pota (Grandson) muskuraye ya haath hila hila kar baat kere to aap khush ho kar kehte hain" dekho bilkul papa ki terhan kar raha hai ". koshish karen ke aap jab yeh baat kar rahay hon to baap aap ke sath hi betha ho warna yeh aawaz is ke kaanon mein agar pohanchi to woh shehar khamoshan (Graveyard) ki aik andheri qabar mein num aankhon ke sath muskura raha hoga .



Tumhari qabar par js ney tumahray naam ka kutba lagaya hai woh jhoota hai



Tumhari qabar mein, mein dafan hon tum mujh mein zindah ho




(Nida Fazli)

No comments:

Post a Comment

عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں . Article 91

Article # 91 رنج و مزاح  عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں  تحریر : اظہر عزمی ہمارے ایک دوست بہت دلچسپ ہیں ۔ گفتگو میں آخر تک تجسس و ...