Wednesday 7 August 2019

Woh baarishon mein phone karne walay kia hue? Roman Urdu / Hindi Article # 37



Article # 37


Woh baarishon mein phone karne walay kya hue ?






Writer : Azhar Azmi

( Aik ishtihari ki bateen )


Barish subah se horahee thi aur waqt ke sath sath is ki shiddat barhti chali jarahi thi.Shaam ko baba ka phone agaya .

Haan miyan ... abhi taK office mein ho ?


Jee baba !


Bas ab ghar anay ki karo.Sara shehar jhal thal ho raha hai. Ghutnon ghutnon pani jama hai .



Jee mujhe pata hai



Kia pata hai. Bahar nikal kar roadon ka haal dekha hai. Abhi mein bari mushkilon se ghar pouncha hon. Tumhare ilawa sab bachay ghar aa chukay hain .


Aap fikar nah karen. Mein kisi nah kisi terhan aa jaon ga.


Kaisay aa jaon ga. Road par basoon Rikshaon ka naam o nishaan nahi aur aik baat to batao yeh gari ghar par sajaaney ke liye li hai kya? Itnay pesey hain ke raksha taxi mein Aasako .


Ho jayen ge


Jaib mein hon gay to hon gay. Barish ka zamana hae.Ghar se ziyada paisay le kar nikla karo. Tumhari yeh bay dehayani ki aadat jaye gi nahi .


Baba mein ne kaha naan ho jayen gay. Office mein koi motorcycle wala kahin rastay mein utaar day ga .


Keh diya hai iss se. Kahin woh tumhen chore hi nah aeye .


Jee jee keh diya hai



Suno tumhari maa ne aalo bharay parathay pakay hain. Tum aa jao gay to pakoray bhi tal lein gay. Barish ruk jaye to biwi bachon ko le kar aa sako to ajana. Ghar pahunchte hi phone karna ke ghar poanch gaye .

________________________________________________

Abhi kuch der hi guzri thi ke telephone operator ne kaha ke aap ki wife ka phone hai.


Arrey aap abhi tak office mein hain ?


Bas niklny ki kar raha hon. baba ka phone bhi aaya tha. ammi ne aalo bharay parathay aur pakoray pakaye hain .


Ahcha to kya seedhay wahein jayen ge? Aur mein ne jo aalo ka kasa aur poriyan bana kar rakhi hain. Pehlay batana tha.


Pehlay kya batata. Abhi bataya hai baba nay.


Baba ka phone do martaba yahan bhi aa chuka hai. Aap ka pooch rahay they.Paanch martaba office cal kar chuki hon. Ab kahin ja kar number mila hai. Aap ko to khayaal hi nahi aata. Ghar mein biwi bachay akailey hon ge .


Arrey bas. .. kiya btaon call karne ki soch raha tha.


Aacha sunen. Phir mein bachon ko bhi tayyar kara deti hon. Apni gaari par hi chalein gay ?


Haan bhai barish mein kon si sawari miley gi .


To yeh gaari ghar mein khari karne ke liye li hai kya? Ajeeb aadmi hain aap bhi. Ghar mein gaari hai aur sahib basoon mein aa ja rahay hain. Mein to kehti hon baich hi den .


Baba bhi yahi keh rahay they .


Aacha bas phone rakhen aur anay ki karen. Sunen wapsi par thori der ke liye ammi ke haan bhi ho lein gay.


Haan bhai Mecca jayen to Madinah jana to bantaa hai.

________________________________________________

Barish aaj bhi hora hee hai. roadon par pani bhi bohat jama hoga. Woh office mein hai aur mobile phone iss ke haath mein hai. Aik isharay mein call mil sakti hai laikin woh jaanta hai ab yeh calls nahi ayen gi. Zamana agay chala gaya hai. iss ke chahnay walay yeh log aisi jagah ja soye hain jahan technology tamam tar taraqqi ke bawajood nahi poanch sakti 

Daant bhari mohabbat ke sath, halki si narazgi mein rachi mohabbat ke sath.


Woh baarishon mein phone karne walay kya hue ?

No comments:

Post a Comment

عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں . Article 91

Article # 91 رنج و مزاح  عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں  تحریر : اظہر عزمی ہمارے ایک دوست بہت دلچسپ ہیں ۔ گفتگو میں آخر تک تجسس و ...