Thursday 28 March 2019

Kia Baap Zindagi Mein Phela Villian ... In Roman Urdu



Article # 7 ... Roman Urdu

KIa yeh sach hai ?


Baap zindagi mein phela Villian hota hai.




Written by: Azhar Azmi

(Aik ishtihari ki batain)




Ho sakta hai bohat se afraad ko meri yeh baat achi nah lagey lekin agar woh kuch lamhay maazi mein palat kar dekhen to shayad woh kisi hadd taq mere hum khayaal ho jayen.Ab woh takleef da baat bhi sun lijiye" zindagi mein phela Villian koi aur nahi aap ka apna baap hota hai ".Wazahat kardoon is se morad filmon wala vln nahi hai .

Jab aulaad larakpan ya baloghat ki Umar mein azaadi ki be simt,be iradah,lahasil aur waqt guzari ke liye aawara parwaaz urna chahti hai to jo shakhs aap ke run way par "naan" ka ishara liye khara hota hai woh puranay khayalat ka haamil, nai duniya se bay khabar, zalim aur jabir baap hota hai.Woh anay janey ka puchta hai.Duniya ki aounch neech samajhata hai.Parhnay ka kehta hai,zindagi mein waqt aur auqaat mein rehne ki ahmiyat samajhata hai.Gharz har woh baat karta hai jo aap ke khayaal mein outdated hoti hai.Aap ko doston ka har woh baap broadminded aur update lagta hai jo apne bachon ko chhoot day kar rakhta hai aur aap apne baap ko achhot samajhney lagtay hain .


Dost aap ke baap ke liye kehte hain" yaar tumhara baba kis zamane ki paidaiesh hai? gaon se aaya hai? maghrib ki namaz brhhkr so jata hai.Usay samgha ab zindagi maghrib ke baad shuru hoti hai. raat baara bujey to larke ghar se bahar nikaltay hain." jab aap raat gay ghar janey ka kehte hain to dost haath pakar kar bithatay hain" yaar topi kara daina.Waisay bhi woh ab so gaya hoga ".(aap un jumlon mein ikhlaqi aitbaar se ro o badal kar satke hain)




Ab onhaein yeh kon betaye ke bachon ke walidain sotay nahi hain.Bistar par hon bhi to karvatein badal rahay hotay hain. khud ko samgha rahay hotay hain. naye zamane se lartay lartay hum qadam ho rahay hotay hain. Watch inhen zeher lag rahi hoti kyunkay woh inhein waqt bta rahi hoti hai jo aulaad ki kalayi aur un ke dil o dimagh se bandhi hoti hai.Har tik tik par dil dhuk dhuk aur darwazay par dastak ka gumaan hota hai.Mobile par kitni martaba number mlitay mlitay reh jata hai. ghar aakar gussa nah ho. Apne gussa ko woh khud bhi qanotiat ka naam dainay lagta hai. apni aulaad ke liye apne aap se larta hai. is ko sahih saabit karne lagta hai magar phir andar ka dara sehma baap bahar aa nikalta hai. Ghussa mein ajata hai. kehta hai" aaj aajay saaf saaf keh dun ga. yahan yeh sab nahi chalay ga. sudhar jao warna apna thikana kahin aur karlo" aur jab woh ghar aata hai to khamoshi se gate khol deta hai.Chahta ke woh is ki khamoshi se mere saaray ghussa ko samajh le.Baita yeh nahi jaanta ke subah baap ko ghar chalanay ke liye dhalti umar main daftar jana hai. woh is shair ki amli Tafseer hai. bakol mairaaj Faiz abadi



Mujh ko thaknay nahi deta yeh zaroorat ka pahar


Mere bachay mujhe boorha nahi honay dete



Aulaad samjhti hai ke baap ko jhansa day den gay. maa se sifarish kara len gay.Samnay se khamoshi se nazar bacha kar guzar jayen. woh ahmaq hain woh nahi jantay ke ahmaq se ahmaq baap bhi aulaad ke muamlay mein ahmaq nahi hota. bas woh




nojawani ke mun zor ghoray ko jagah deta hai. aulaad ka aqli TV agar 32 inch ka hai to baap ka 72 inch ka hota. woh chehra dekh kar tumhara sach jhoot bta day .


Aulaad ko shayad yeh pata hi nahi hota ke jis Umar se woh guzar raha hai baap woh Umar guzar kar aaya hai. duniya badli hai. rishte to nahi badlay insani sarshat to nahi badli. yeh duniya mukafaat amal hai. aaj jo boya ja raha hai, kal wohi kaata jaye ga. phir yeh nah kehna ke zamana kitna badal gaya. zamana hum hi bdalty hain aur rotay hain. bilkul aisay hi jaisay kisi faqeer tabiyat shakhs ne kaha tha ke dozakh mein koi aag nahi hogi sab apne apne hissa ki le kar ayen ge .



Mein aap ko apni zindagi ka aik waqea sunataa hon. jab mein naya naya advertising mein naya to raat 12 ya 1 bajna roz ka mamool tha. mere waalid sahib mere ghar nah anay par raat gay taq gali mein teheltay rehtay hain. jab mein aata to sath andar atay. gali mein baithy larke is baat par mera mazaq uratay. mein walida se halki awwaz mein roz hi yeh kehta" jab abbu ko pata hai ke mein der se aata hon to bahar gali mein kyun teheltay hain ". waalid suna liya karte aur khamosh hi rehtay. aik din bolay : jab aap sahib aulaad hon ge to pouchon ga" .




Meri shadi hui. 2 bachay hue.School janey lagey. woh van se school aaya jaya karte. aik din mein office nahi gaya. biwi se poocha" bachay kab school se atay hain ?. Biwi ne kaha ke siwa do bujey. meri nazar gharri par thi. siwa do baj gay aur phir aik aik minute bhaari hota gaya. meri pareshani barhti chali jarahi thi. biwi ni kaha bhi ke atay hon ge magar mujh se sabr nah hoa meri rahaish third flour par thi. dhai bujey neechay utar aaya. van aayi to van walay ko bhi khoob sunaya .




Bay charah kehta reh gaya ke traffic jaam tha magar usay kya pata tha ke mera dimagh kitna jaam ho raha tha. zehan mein kya kuch tha jo nahi araha tha. jab mein bachon ko oopar le kar charh raha tha to socha kya yeh pagal pan tha to dil ne kaha nahi yeh baap pan tha jo mere waalid ko tha jo har baap ko hota hai magar aulaad usay samajh nahi paati. waqai waalid ne sahih kaha tha" jab sahib aulaad ho ge to pouchon ga ". abbu mein aap se moazrat khuwa hon. ab mein nahi jaanta ke mere baad anay wali nasal yeh moazrat kehna ya shayad sochna bhi zurori samjhay gi ke nahin.

No comments:

Post a Comment

عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں . Article 91

Article # 91 رنج و مزاح  عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں  تحریر : اظہر عزمی ہمارے ایک دوست بہت دلچسپ ہیں ۔ گفتگو میں آخر تک تجسس و ...