Tuesday 20 August 2019



Article # 32
(In Roman Urdu/ Hindi)



Janazay gate se nikaltay hain

Laikin rooh to gate se andar nahi aati

Magar aik maa nahi manti

Writer: Azhar Azmi
(Aik ishtehari ki batein)



Yeh waqt bhi ajeeb hai. kahin khushion ke mailon mein Khanakti hansi hoti to kahin gamoon ki saf e maatam mein noha kinaan cheekhain aur dil cheer dainay wali shiskiyan rooh taq ko jhnjorh deti hain. waqt woh kuch kar guzarta hai ke hum sochen to saans ruki ki ruki reh jaye magar jab guzarti hai to saans chalti rehti hai. yahi karkhana e qudrat ki hikmat hai .


Meri aik Aziza hain. bewa hain. pehlay jawan beta do betay chore kar manon matti taley ja soya hai aur do teen saal mein baap ne isi qabrustan ki aik qabar ko abad kardiya .


Jab betay ka intqaal hoa to hamari yeh Aziza har jumaraat maghrib ke waqt ghar ke barray gate ka chhota pitt halka sa khol ke baith jaya karti theen. mumkin hai ab abhi aisa karti hon. aik din mein isi waqt un ke paas betha tha. mein ne be pardaghi ke khayaal se gate ka pitt bhairna chhah to bolein" nah beta yeh band nah kar woh aata hoga ". mein ne kaha aaye ga to darwaaza khut khatta le ga" bolein" ab darwaaza kahan khut khatata hai" mera khayaal tha ke woh apne chhootey betay ki baat kar rahi hon gi jis ke office se anay ka waqt ho chala tha. chand lamhay khamosh reh kar bolein" aaj jumaraat hai. dekh mein ne bead wala kamrah bhi saaf suthra kardiya hai" .


Mein ne kaha kis ki baat kar rahi hain. chhota beta to oopar rehta hai ". bolein" aaj jumaraat (Thursaday) hai. is ( barray betay ) ki rooh aaye gi. mein har jumaraat ko isi terhan gate ka pitt khula rakhti hon. darwaaza band dekh kar kahin chali nah jaye aur dekh is ka bead room bhi saaf suthra kar ke rakhdiya hai. aaye to kuch der aaraam kar le ". mein ne kaha ke aap andar hi baith jaya karen. bolein" nahi mein chahti hon ke jab woh gate se andar aaye to sab se pehlay mujhe dekhe ". mein ne kaha ke chalein woh dekh laita hoga magar aap kaisay dekhatii hon gi. barray yaqeen se kehnay lagen" woh jaisay hi aata hai mujhe pata chal jata. maa hon, khusbhoo ajati hai. chehra to har waqt meri nigahon mein rehta hai. aakhri baar woh isi gate se to bahar gaya tha. ab bta mere paas nahi aaye ga to kahan jaye ga" .


Ab mein un ko kya batata ke janazay gate se jaya karte hain. rooh ko kisi gate / darwazay kayi kahan zaroorat hoti hai lekin mein aik maa ki mohabbat gate har rokna nahi chahta tha. mera suber jawab day raha tha. is liye khamoshi se uth kar agaya. jatay jatay bolein" arrey ruk! kahan ja raha hai. woh aata hoga. tujy bhi dekhe ga to bohat khush hoga ". unhon ne itnay pyar se kaha ke kuch kahe bana jana buri baat thi. mein ne bahana kya ke mujhe aik zurori kaam yaad agaya. bolein" dekh ab yeh jumaraat jaye gi to agli jumaraat ki aas mein din ginu gi" .


Mein chahte hue bhi nah ruk saka aur num aankhon ke sath gali mein aa khara sun-hwa aur sochnay laga ke jin ke betay un ki aankhon ke samnay abdi rakhat safar bandh len woh zindah kaisay rehti hain? saans kaisay layte hain? jawab khud hi agaya inhi yadoon kay saharay geeti aur sanas laiti hain.

Saturday 10 August 2019

میرا اینٹی لائس کا ایک ٹی وی کمرشل جو انڈیا میں کاپی ہوا ۔آرٹیکل # 38






آرٹیکل # 38

میرا اینٹی لائس کا ایک ٹی وی کمرشل 
جو انڈیا میں کاپی ہوا۔



تحریر : اظہر عزمی
(ایک اشتہاری کی باتیں)

اگر آپ کا تعلق ایڈورٹائزنگ کے بالخصوص شعبہ تخلیق  سے ہے تو پھر تیار رہیں جہاں انڈیا کا کوئی اچھا ایڈ آیا ۔ آپ کو سب سے پہلے کٹہرے میں کھڑا کر دیا جائے گا ۔

"ایک بات بتائیں ان لوگوں کے ایڈز ( ٹی وی کمرشلز ) اتنے سیدھے ، سچے اور سادے کیوں ہوتے ہیں ؟ آپ لوگوں کا دماغ نہیں چلتا کیا ؟"

کبھی کبھی تو ایک طولانی اور لاحاصل بحث کا آغاز ہو جاتا ہے ۔ آپ لاکھ تاویلیں دیتے رہیں ۔ اپنی مجبوریاں بتاتے رہ جائیں مگر سامنے والا کان دھرنے کو ہی تیار نہیں ہوتا ۔آخر میں جواب میں یہی کہتا ہے کہ بھائی یہاں وہاں سب کچھ ایک جیسا ہے ۔آپ کچھ بھی کہو ۔ہمارے پہلے کے ٹی وی اشتہار کسی طرح ان سے کم نہ تھے اور ساتھ ساتھ کوئی مشہور ٹی وی جنگلز گنگنائے لگتا ہے ۔

میں اس بات سے قطعا انکاری نہیں ہوں کیونکہ ٹی وی دیکھنے والے کو جو اچھا ہوتا ہے وہی اچھا لگتا ہے ۔ وہ اس کی سائنس اور فلسفہ میں نہیں پڑتا ہے۔ 

آج دنیا گلوبل ولیج بن چکی ہے۔ سب کو سیکنڈوں میں سب پتہ چل جاتا ہے ۔ گذرے زمانہ کے لئے بھی آرکائیوز کے ڈھیر لگے ہوئے ہیں ۔یہی وجہ ہے کہ فنون لطیفہ خاص طور ٹی وی کمرشلز کی چوریاں تو اب پکڑی گئی ہیں اور خیر سے پکڑی جا رہی ہیں مگر اب معاملہ چوری اورسینہ زوری کا ہوگیا  ہے ۔ یہ سارا کریڈیٹ انٹرنیٹ کو جاتا ہے کہ جس نے بہت کچھ طشت از بام کردیا ہے ۔ بڑے بڑے قابل اتباع  طرم خان جن کا کبھی توتی بولتا تھا اگر آج پکڑے جاتے تو ہاتھوں کے طوطے اڑ جاتے۔ مگر کس تھانے میں بند ہوتے۔ کون سی دفعہ لگتی ۔ بات دفع کرو پر آکر ختم ہوجاتی ۔ 

 یہ تو ہمارے مصائب و آلام  ہوگئے مگر ہم جیسے لوگوں کی ساری خوشیاں بھی یہاں رکھی ہیں ۔عام افراد کو شاید اندازہ نہ ہو کہ جب کوئی اشتہار خاص طور پر ٹی وی اشتہار مشہور ہوتا ہے۔ زبان زد عام ہوتا ہے۔ اس کی کوئی ایک لائن محاورے کی صورت اختیار کرنے لگتی ہے ، اس کا جنگل عوام سے سند قبولیت حاصل کرتا ہے۔ لڑکیاں تفریح کے طور شادی بیاہ میں گاتی ہیں۔ راہ چلتے بچے گنگناتے ہوئے جا رہے ہوتے ہیں ،اس میں اپنے Additions بمطابق حالات کر رہے ہوتے ہیں تو پردے کے پیچھے چھپے اس کریٹیو کی خوشیاں دنیا کے کسی ترازو میں نہیں تولی جاسکتیں۔ بڑے سے بڑا ڈیپارٹمنٹ اسٹور اس کی قیمت نہیں بتا سکتا ۔ کسی بھی بینک سے دولت کا یہ چیک کیش نہیں کرایا جاسکتا۔ سرور و کیف کی اس منزل تک دنیا کا کوئی مہنگے سے مہنگا نشہ نہہں لے جاسکتا ۔

ذرا سوچیں ! جب یہ نشہ شراب کی پرانی بوٹل میں پڑوس (انڈیا)  سے نکل آئے تو نشہ کیسا دو آتشہ ہوجاتا ہوگا۔ یہ 2014 کی بات ہے ۔ میں ان دنوں شارجہ میں اپنے چھوٹے بھائی کے ساتھ مقیم تھا ۔ فارغ وقت زیادہ تر ٹی وی دیکھ کر گذرتا ۔ یہاں کوئی 200 کے قریب بھانت بھانت کے چینلز آیا کرتے ۔ انڈین چینلز بھی کافی آیا کرتے۔  کبھی کبھی بہت اچھی انڈین فلمیں آیا کرتیں لیکن بات وہئ تھی کہ دل بہت زیادہ فلموں کی طرف مائل نہ رہا تھا ۔

ایک دن میں کوئی انڈین فلم دیکھ رہا تھا جو پھولن دیوی یا اس سے متاثر ہوکر بنائی گئی تھی ۔ فلم ایک ایسی لڑکی کے اردگرد گھومتی جو زیادتی کا شکار ہوئی اور پھر  پوری فلم میں سر پر پٹی باندھ کر انتقام کی آگ میں اندھی رہی ۔ یہ فلم خاصی دلچسپ تھی ۔ نام مجھے بالکل بھی یاد نہیں ۔ فلم کے وقفہ کے دوران اشتہار چلتے ۔کوئی اچھا اشتہار ہوتا تو دیکھ لیتا ورنہ ریموٹ جیسا قاتل میرے ہاتھ میں تھا ۔ دوران فلم ایک وقفہ آیا تو ایک ایسا اشتہار چلا جو مانوس مانوس سا لگا ۔ اشتہار ایک اینٹی لائس لوشن ( سر کی جوئیں اور لکھیں مار) کا تھا جس میں اسکول کے بچے بچیوں کو دکھایا گیا تھا ۔ جب ٹی وی کمرشل  میں یہ لائن آئی:

سر سے سر ملا
جووں اور لیکھوں کو نیا گھر ملا 

توسب کچھ میری ذہن کے پردے پر چلنے لگا ۔ ارے یہ تو وہ میرا وہ ٹی وی کمرشل تھا جو میں نے 90 کی نصف دھائی میں لکھا تھا اور  پاکستان میں کافی چلا تھا ۔ میں حیران تھا اور ہوں کہ یہ اس  زمانہ کا اشتہار ہے جب انٹر نیٹ پاکستان میں نہیں آیا تھا شاید انڈیا میں  بھی نہ آیا ہو ۔ جو اپنا کاپی شدہ انڈین کمرشل میں نے دیکھا اس کا پرنٹ بھی بتا رہا تھا کہ یہ  وہاں کا بھی پرانا  کمرشل ہے۔ 

ایٹی لائس لوشن کا یہ کمرشل تو 30 سکینڈ میں ختم ہوگیا پھر میں نے نیٹ پر اپنا یہ ایڈ سرچ کرنا شروع کردیا کہ یو ٹیوب وغیرہ پر مل جائے مگر نہیں صاحب دور دور تک نام ونشان نہیں پھر میں نے انڈیا کے اینٹی لائس کے ایڈز دیکھے مگر کوئی پتہ نہیں چلا ۔ سوچتا ہوں اس زمانہ میں یہ ایڈ کاپی کیسے ہوا ؟ حوالہ کے لئے ایڈ کی دو  لائنیں بھی لکھ دی ہیں ۔ ممکن ہے یہ ایڈ کسی کو یاد ہو ۔ یقینا یہ کوئی ایوارڈ وننگ ایڈ نہ تھا مگر صرف حوالہ کے لئے بتا دیا ہے  کہ ہم بھی کاپی ہوتے ہیں ۔

Wednesday 7 August 2019

Woh baarishon mein phone karne walay kia hue? Roman Urdu / Hindi Article # 37



Article # 37


Woh baarishon mein phone karne walay kya hue ?






Writer : Azhar Azmi

( Aik ishtihari ki bateen )


Barish subah se horahee thi aur waqt ke sath sath is ki shiddat barhti chali jarahi thi.Shaam ko baba ka phone agaya .

Haan miyan ... abhi taK office mein ho ?


Jee baba !


Bas ab ghar anay ki karo.Sara shehar jhal thal ho raha hai. Ghutnon ghutnon pani jama hai .



Jee mujhe pata hai



Kia pata hai. Bahar nikal kar roadon ka haal dekha hai. Abhi mein bari mushkilon se ghar pouncha hon. Tumhare ilawa sab bachay ghar aa chukay hain .


Aap fikar nah karen. Mein kisi nah kisi terhan aa jaon ga.


Kaisay aa jaon ga. Road par basoon Rikshaon ka naam o nishaan nahi aur aik baat to batao yeh gari ghar par sajaaney ke liye li hai kya? Itnay pesey hain ke raksha taxi mein Aasako .


Ho jayen ge


Jaib mein hon gay to hon gay. Barish ka zamana hae.Ghar se ziyada paisay le kar nikla karo. Tumhari yeh bay dehayani ki aadat jaye gi nahi .


Baba mein ne kaha naan ho jayen gay. Office mein koi motorcycle wala kahin rastay mein utaar day ga .


Keh diya hai iss se. Kahin woh tumhen chore hi nah aeye .


Jee jee keh diya hai



Suno tumhari maa ne aalo bharay parathay pakay hain. Tum aa jao gay to pakoray bhi tal lein gay. Barish ruk jaye to biwi bachon ko le kar aa sako to ajana. Ghar pahunchte hi phone karna ke ghar poanch gaye .

________________________________________________

Abhi kuch der hi guzri thi ke telephone operator ne kaha ke aap ki wife ka phone hai.


Arrey aap abhi tak office mein hain ?


Bas niklny ki kar raha hon. baba ka phone bhi aaya tha. ammi ne aalo bharay parathay aur pakoray pakaye hain .


Ahcha to kya seedhay wahein jayen ge? Aur mein ne jo aalo ka kasa aur poriyan bana kar rakhi hain. Pehlay batana tha.


Pehlay kya batata. Abhi bataya hai baba nay.


Baba ka phone do martaba yahan bhi aa chuka hai. Aap ka pooch rahay they.Paanch martaba office cal kar chuki hon. Ab kahin ja kar number mila hai. Aap ko to khayaal hi nahi aata. Ghar mein biwi bachay akailey hon ge .


Arrey bas. .. kiya btaon call karne ki soch raha tha.


Aacha sunen. Phir mein bachon ko bhi tayyar kara deti hon. Apni gaari par hi chalein gay ?


Haan bhai barish mein kon si sawari miley gi .


To yeh gaari ghar mein khari karne ke liye li hai kya? Ajeeb aadmi hain aap bhi. Ghar mein gaari hai aur sahib basoon mein aa ja rahay hain. Mein to kehti hon baich hi den .


Baba bhi yahi keh rahay they .


Aacha bas phone rakhen aur anay ki karen. Sunen wapsi par thori der ke liye ammi ke haan bhi ho lein gay.


Haan bhai Mecca jayen to Madinah jana to bantaa hai.

________________________________________________

Barish aaj bhi hora hee hai. roadon par pani bhi bohat jama hoga. Woh office mein hai aur mobile phone iss ke haath mein hai. Aik isharay mein call mil sakti hai laikin woh jaanta hai ab yeh calls nahi ayen gi. Zamana agay chala gaya hai. iss ke chahnay walay yeh log aisi jagah ja soye hain jahan technology tamam tar taraqqi ke bawajood nahi poanch sakti 

Daant bhari mohabbat ke sath, halki si narazgi mein rachi mohabbat ke sath.


Woh baarishon mein phone karne walay kya hue ?

عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں . Article 91

Article # 91 رنج و مزاح  عمر بڑھ جائے تو ایک محترمہ سے بچ کر رہیں  تحریر : اظہر عزمی ہمارے ایک دوست بہت دلچسپ ہیں ۔ گفتگو میں آخر تک تجسس و ...